Saturday 4 April 2015

TAWEEZ LIKHANE KE KAYADE

Taweez kya hai or kitne types ke hote mai iske bare me yahan kucch share nhi karunga 
kyuki iske bare me mere bahut se amil bhaiyon ne kafi sare blogs me taweez ka zikar
kiya hai,uski types btayi hai.iske liye aap log google se search bhi kar sakte ho.
Mohobbat ka taweez likhane ka ek alag hi time hota haiiske liye pehle apko ilm e
nazoom sikhna padega.ilm nazoom ka jikar mai yahan nhi karunga.sidhe shabdon me
byan krta ho ki taweez likhne ka liye koe accha muhrat kisi pundit ,hafiz se puchh le
din jumerat(brahspati) ya jume(shukra) ka ho saat mushtary ya zohra ki ho,libas safed
kurta pejama ho,sitare ke hisab se uske bakhoor jlaye jaye,muh me sharini(chini) ya
koe bhi mithi cheez ho.muh matloob(beloved) ke ghar ki taraf hoor esa mehsoos kre
ki mehboob samne mojod hai.parhez "kisi bhi tarah ka mas,anda,pyaz,lahsun,etc".

Wednesday 28 January 2015

ilm e mohabbat


  • ilm e mohhabat ki is post me maine aap sab logo se is ilm ke bare me
  • apni saari jankari is post me share kar rha hu.ho sakta hai kuch bade
  • aamil bhai logo ko mere blog ki ye post acchi na lage un bhaiyon se  
  • maafi chahunga .                                                                             

  • ilm e mohabbat jaisa ki aap sabi jante hai aisa ilm jis se kisi ke dil me
  • jagah bnani ya us shaks ko apna bna lena chahe wo aapse nafrat krta
  • ho.aaj tak is ilm par hazaro post create ki gayi hai or kafi sare aamil   
  • logo ne apni alag 2 batein (talk) likhi hai unme se kuch chezen to       
  • mujhe sahi lagi or kuch galat.mai apne blog ki is post me age chalkar 
  • kafi kuch btaunga jis se ilm e mohabbat me yakeen krne walo ko     
  • bahut fayda hoga or kuch naya seekhne ko milega.meri ye post un   
  •  logo ke liye bhi acchi sabit ho sakti hai jo pyar me dhokha khaye hue
  • hai ya nakam hai..                                                                            

  • Amal karne ka tareeka : ilm e mohhabat ka amal krne ka sabse 
  • pehla sabak ye hai ki aap jis shaks ke liye amal karna chahte hai us
  • ke liye aap ke dil me itni zayda mohhabt honi chahiye ke amal krte 
  • waqt apko aisa mehsos ho ki wo shaks aap ki baho me hai ya        
  • samne mozod hai,isse amal ka asar bahut jaldi ho jata hai.agar niyat
  • haram hogi to koi bhi amal apna asar nhi dekhata.  .                       
  • Amal karne ka mahina : Waise to amal krne ka koi khas time nhi
  • hota phir bhi bade buzurgo ne iske liye khas mahina bataya hai jise 
  • urdu jaban me AROZ mah kahte hai or hindi me basant ritu kehte  
  • hai.Mohhabat ka amal karne ke liye is mahine ka intzar kyu kiya    
  • jata hai aaz tak kisi ne detail me nhi bataya.Aaj mai apko batata hu
  • AROZ mah yani basant ka mahina wo mahina hai jisme pedon(tree)
  • ke naye patte(leaf) aate hai,is mahine me zra sa gaur karna ki aap ka
  • heart kahi ek jagah nhi rukta ek azeeb si feeling apke dil me ati rehti
  • hai or agar koi ladki apke sapno(dreams) me aa jaye to apka dil uski
  • feeling lene lagta hai or apko usse pyar ho jata hai.Theek isi tarah agar
  • aap kisi ladki par hub ka amal isi mehine me karte hai to aap use sapno
  • me dikhayi denge or use apse pyar ho jayega.Kehne ka matlab ye hai
  • ki dusre saare mahine se zayda asar AROZ ke mahine me dikhai deta
  • hai..      
  • Amal karne ka libas : Amal krne se pehle libas ka dheyan rakhe.roz 
  • nahaye or jeans shirt ki jagah safed kurta pazama pehne.kurte pezama
  • sunkar aap aisa mat sochiye ki bina kurte pezame ke aap ka amal fail
  • ho jayega wo sirf isliye ki apko niche zameen par bhaithne ke liye khule
  • or halke kapde zarori hai,jean shirt me aap jayda der tak zameen par 
  • baith kar amal nhi kar paoge.kuch bade buzurgo or amilo ne farmaya
  • hai ki safed kurte pezame se amal ka asar zada hota hai lekin ye sab 
  • jhoth hai.kehne ka matlab ye ki jo kapda apko comfort lage use pehan 
  • kar amal kare.
  • Amal karne ka time   : Hub ka koi bhi amal chahe wo sifali ho ya koi
  • falita jalana ho ye sab kam rat ke 12 baje ke bad karna chahiye.kyuki
  • 12 baje tak lagbhag 90% log so jate hai or khas bat yad rakhe ki jis par
  • aap amal kar rahe ho wo person so gya ho,matlab amal uske sone ke 
  • bad hi shuru kare.
  • Amal karne ka kamra(room)   : Kamra saaf hona chahiye or khali bhi
  • kamre me kisi bhi tarah ki tasveer nhi honi chahiye.kamare me khusbudar 
  • cheez jaise agarbatti jalani chahiye.amal karte waqt akela ho or andhera
  • hona chahiye.  
  • Amal shuru karne se pehle zarori batain   :
  • Jis shaks par amal kr rhe ho uska or uski ma ka naam maloom karna zarori
  • hai.agar naam maloom na ho to uske sir ke bal(hair) le aye ya fir uska pehna
  • hua kapda.                                                                                  



Saturday 3 January 2015

Kya hai Ruhani amal ?




 Jaisa ki hamare bade bazurag ko hamesha se hi ruhani amalo par vishvash rha
  hai.Misr,Arab,India ke kush log abhi bhi in Ruhani ilmo par vishvash rakhte hai,
  lekin new generation ke kafi log is ruhani ilm par vishvash nhi krte.Swal ye hai ki
 "kya hai ye ruhani amal".kyu aaj bhi log is par trust karte hai. Kya real me iske 
 asar dekhte hai.sayad aap me se kush log Na kahe pr mera answer ha.
 maine  apni life me Ruhani ilm ke kayi asar dekhe hai.
 Ruhani ilm ek esa ilm hai isme insan apni prayer ko sifali tareeke se ya taweez
 me likh kar GOD sedua krta hai ,is dua ko GOD sunta hai or insan ko fayda

 hota hai.

Ruhani amal aur kala jadu me fark ?

Ruhani amal aur kala jadu me sirf itna fark hai ke ruhani amal me pir,shadu ,ya kisi
devta se dua magi jati ,ye dua kisi ki sifa ya naik kaam ke liye ki jati hai ,jab ki kale
jadu me kisi shaitaan ko bali dekar khush kiya jata hai aur unse galat kaam liye jate hai.

About author

Hello friends,mera nam Rehan Khan hai or mai india ke uttrakhand state ke ek chhote se village se hu.Mai science ka student reh chuka hu fir bhi bachpan se hi mera interest RUHANIAT me rha hai.mene pichle 10 salo se rohaniat ke bare me kafi kuch sikha hai,unme se kuch batein apne is blog me share kar rha hu.umeed krta hu ki mera ye blog apko pasand ayega...
 Dua me yad rakhna